Thursday, June 24, 2004

Cat Walk

tazleel-e-niswaan ko nia he naam dia hay
ab ik biddat ko jiddat ka muqaam dia hay

atta jis ko kia kahliq nay muqam-e-zeenat
uss ko he ab nilaam barsar-e-aam kia hay

maqsad to batya hay pehnavay ki namood
par uriaan yahaan siraf jisamon ko kia hay

lehraa kay, bhal kha kay, phir muskura kay
khillat-e-haiya ko kaisey bay hijaab kia hay

parchaat nakafi hain sarsarahat ko yahaan
manzar main moseeqi ka ihtamam kia hay

roshan qum qumay, aur lapkay hain bijliaan
her andaz ko tasveer main mehfooz kia hay

kassar na reh jye koi fun-e-paisha gari main
chun chun kay naginoan ka intakhab kia hay

ankhon ki haiya to ab thehri nayaab yahaan
dil khoal kay peech-o-kham ka izhar kia hay

daad to hay bohat ehbab-e-mehfal ki magar
kia kisi ko libas-e-malboos ka ihsas hua hay

makhsoos tha jo dhanpanay ko baddan kay
ussi boaj he say to uriaani ka izhaar kia hay

tarash-e-poshaak to bahana hay kahnay ko
tazkara to sirf husan-o-andaz he ka hua hay

baykhud hain kaisey sab ehbabab to daikho
jaisey nazaron ko jisam kay aar paar kia hay

hay gar ye izhaar-e- azadi-e-niswaan to kia
kisi nay behan aur baiti ko andia be dia hay

yakjaa hain ab bint-e-hawa aur ibn-e-adam
ye kaam dono nay bohat mil jul kay kia hay

kis ko day rahey hain ham ab fariab yahaan
kia kissi nay khud say be ye sawaal kia hay

-Izzah-